Tootan / टूटन by Ashutosh Asthana


The Blurb/ Prastaavana:

Humare samaj mein prem karna paap hai, magar usse bada paap hai us prem ko haasil karne ki chaahat rakhna, wo bhi tab jab wo prem dharm, jaati aur samudaay ke bandhanon mein jakda hua ho. Ye kitaab un logon ko samarpit hai jo apne pyaar ko haasil nahin kar paaye sirf isliye ki unhone apne dharm aur jaat ko alag rakh kar ek insaan se prem kiya tha. Is kitaab mein us tootan ka zikr hai jo ek vyakti ko tab jhelna padta hai jab wo samaj ki bani deewaron ko laanghne ki koshish karta hai bilkul waise hi jaise mukesh aur anuradha ne koshish ki thi. Allahabad ke Mukesh Saxena aur Anuradha Soni ko ek doosre ki muhabbat mein giraftaar huye lagbhag 7 saal ho chuke hain. Dono apne ishq ko ek mukammal jahaan dena chaahte hain magar samaj unke beech jaati ki deewar ban kar khada ho jaata hai. Kya Mukesh aur Anuradha is deewar ko todkar ek doosre ke ho paayenge?


The Story/Kahaani:

Tootan yah kitaab k lekhak Ashutosh Asthana ji ne ek jimmedaar jode, jo ki Anuradha aur Mukesh ki prem kahani pe likha hai. Iss kahani mein inke varnan bahot hi rochak dhaang se prastut kiya hai. Donno 7 saal tak ek dusre ke prem mein the, ek dusre ke bina jeene ki kalpana bhi kar nahi pa rahe the. Anuradha jo ki bahot hi sushil ladki hai, uske Mata Pita uski shaadi apni jaat mein hi karvaana chahate the, vahi dusri jagah mukesh jo ki hamesha se uske saath tha, bachpan mein sath mein padhi likhai se lekar ek doosre ke mann ki baaton ko bahut achhe se jaante the, aur ek dusre se ek bepanah prem karte the. Lekin, ghar walo ki anumati na hone ke karan unke pyaar mein ek duri si bann gayi aur ek adhuri pyaar ban kar rehe gayi. Paarivaarik dabaav ke karan aakhir mein Anuradha ek shaadi ke bandhan mein bandh gayi. Anuradha jo ki ek sanskari ladki thi jo ki nahi chaahte huye apne Mata aur Pita ke aadar ke liye ek dusre insaan se shaadi karke apna ghar sansar basane mein apni koshish kar rahi thi lekin woh mann hi mann mein Mukesh ko bhool nahi pa rahi thi aur dusri jagah Mukesh bhi Anuradha k bina apne aap ko adhura mehsoos karta tha. Is kahani mein humne jaati aur dharm ke vishay ko behtareen dhang se dekha hai, jaaha ki doono ne aapne Mata Pita k aage aapne aap ki bhaavnao ko aapne andar hi basa liya. Toh kya hoga unke prem ka? Kya humesha prem ko hi marna hoga dharm aur jaati ke samne? Anuradha aur Mukesh ka kya hoga? Shadi ke baad ab Anuradha kya kregi?

My Take/Mere Vichaar:

Ashutosh Asthana ji dwaara likhit ya kahani Tootan mujhe bahot pasand aayi aur kahani mere mann ko chu gayi. Jis prakar Anuradha aur Mukesh apne prem ka balidan de kar apne Mata Pita ke samman ke liye unke anusaar ya zindagi jeete hain. Jise padh kr muje bhi afsos hone lagi.

Jaise hi iss book ka anth hua, thode samay ke liye main achambhe mein thi, kyu k lekhak Ashutosh ji ne jis tarah se likha hai, main poore tarahse kitaab mein kho gayi ti. Kisi bhi lekhak ke liye sabase mushkil hissa paathak se judana hai, aur lekhak ne is pustak mein apna kaam shaanadaar dhang se kiya hai. Haalaanki kahani dukhad hai aur aapako bhaavanaatmak bana degi jaise ki main thi, lekin aapako kai aur aankhen kholane vaale mudde milenge jinhen hamene lekhak Ashutosh ji ke anusaar samajhane ki aavashyakata hai. Iska vishay par lekhak Ashutosh ji ne bahot hi baariki se ek-ek peehlu ko rochak dhaang se dharshaiya hai.

Iss book Tootan mein har charitr ka varnan pure tarah se aur vistrt bhaavanaon ke saath kiya gaya hai. Iss kahaani ko lekhak ne shayaraana pehlu bhi diya hai. Upanyaas mein kayi bade shayaron ka zikr hai, saath hi lekhak ki swarachit (self written) shayariyan bhi hain jo kahaani ko jodne mein madad karti hain.

Ek baat spasht hai ye kahaani padh kar aap in sab cheezoon ko aapne dil se mehsoos karoge aur apne samaj mein ek nah soch laaoge. Aur muje yah pustak ko padhane mein koi dikat nai aayi, kyu ke lekhak ne isse saral aur aasaan shailee mein likha hai jisse kahani aur bhi aakarshak lagne lagi.

Overall I loved this book. This book is full of emotional and an old generation believes. So if you want to feel all the emotions that the author has written. Then click on the link and witness yourself the love of Anuradha and Mukesh in the book Tootan written by Ashutosh: https://amzn.to/2VU5VeP

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.