Graphology- Kamyabi Ki Master key by JPS JOLLY

About Book /पुस्तक परिचय: 


Iss keetab ke lekhak JPS Jolly ji ne ye bataiya hai ki ye pustak padhke aap apne jeevan ka kalyaan kaise kar sakte hain. Ye ketaab ke madhyam se vaaikti ke baare me uske hastakshar se jaan sakte hain aur uska tarika bataya hai ki kaise badlav la sakte hai hum apne soch aur vichar me. Aur saath hi saath aapne Charitra me bhi.

Isme ye bataiya hai ki likhavat aur hamare hastakshar ka seedha sambandh hai hamare jagrut mann se hota hai. Iss me ye bataiya ki naam ke alava koi aur cheez maayne rakhta hai toh woh hai hamara hastakshar. Jaise hamara mann jitna accha soch aur vichar karega ussi tarah uski likhavat bhi prabhavshali hogi. Iss ketab ke dwara aap sapne saach kar sakte hain aur apne andar kaise ek aise soch arpan kar sakte hain jisse aapka kaam bahot hi safal tarike se ho jaayega.

Likhavat se aap apna aaj kal aur bhavishya jaan sakte hai iss taqaat ka aapko andaaz ye ketaab karaiyegi. Iss ketaab se aap khud sikh sakte ho aur saath hi khud sikha bhi sakte ho.  Isko  lekhak ne bahot hi saral tarike se  aur udharan se bataiya hai. Aur sath me unhone udharan ke taur kuch mahan logo ke hastaakshar ko iss ketaab me bataiya hai.

Iss ketaab ko aap aapni safalta ki seedi keh sakta hai ya fir kamyabi ki chaabi ye hum aap pe chodte hain.

My take:

Iss keetab ne meri soch aur vichar ke saath mujhe likhavat ki tarkeeb bhi bataiyi hai, ke kaise aap aapne andar ek sudhar la sakte hain. Iss keetab ke dwara aap nah ki apne aap ki soch badal sakte ho, iske sath  aap aapne aaj aur kal ke baare me jaan ke usme kaise ek nayi shuruvat kar sakte hain woh bataiya gaya hai. Isme ye bhi bataiya hai ki likhavat kitni jaroori hai aur woh aapki zindagi pe kya asar kar sakti hain.

Me ye jab padh rahi thi toh ek alag si bhavna arpan ho rahi thi. Aisa lag raha tha ki ek nayi umeed ki umang jaag uthi hai. Jo ye ketaab me likha hai vaise hi maine koshish kiya aur bade paimaane par badalaav dikha mujhe aapne soch me  aur likhavat me bhi. Aap bhi iss ketaab ko padh ne ke baad ye hi  mehsoos karoge jaise maine kiya.
Sampoorn ek nayi soch ke sath apki likhavat badalte hue dekhiye iss keetab ke sath. Toh yaha click kariye aur apne hastakshar ko sudhariye, JPS Jolly  ke dvaara likhit iss kitab Graphology- Kamyabi Ki Master key mein.

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.