Bali Darpan Desh Ka Rakshak by Akhil Kumar Meher

The Blurb / प्रस्तावना :



Hamari duniya aaj jaise hai sadiyo pehele bohut alag hua karti thi, khas kar ke hamare Bharat desh mein bohut sare Raja-Maharaja ka raj hua karta tha. Hum hamesha kisse -kahaniyon mein, in Raja-Maharajao aur unke rajyon ke shoorveero ki kahaniyan sunte aaye hain jin mein se kuch sach hota hai aur kuch manghadat. 

Kuch aise hi meri yah Kahani hai, Jahan ek shoorveer yodha Bali kaise ek lobhi aur kroor Raja Betalam se apne nagri (darpan desh) ki raksha karta hai veerta ke sath. 

The Story / कहानी : 

Iss kahani ko lekhak akhil meher ji ne bohat sundar tarike se prastoot kiya hai jiski saradhana karni chahiye .

Iss kahani main ek raja hota hai, betaalam jiski nagri ka bhi naam usiki naam se betaalam nagri rakhha gaya hota hai, voh ek nihayati lobhi aur kroor raja hota hai aur aapni saktisaali senya dal ki madad se bal aur chhal ka upyog karke bohat saare nagri ko lut chukka hota hai, ek din aise hi kisi aur nagri ki talash main voh aapne sanya dal ke saath ek alag disha main jaata hai, bohat dhur jaane ke baad bhi use koi nagri dikhti nahi hai, bhuka aur pyasa sanya dal ko dekhkar raja chinta main pad jata hai aur tabhi achanak use aage kuch hi dur main ek nadi behethi dikhti hai aur wo aapne sanya ko wahan le jaata hai, Vahin pe nadi ke kinaare ek kutir hota hai jahan uski mulakat kichki naam ki ek badsurat aadmi se hoti hai, kichki use batata hai ki wahan se thodi dur ek bohat hi sundar aur dhan sampatti se varpur ek nagri hai “darpan desh”, uske sath ye bhi baata he ki wahan aur kuch aisa hai jisse wo amar ho sakta hai, parantu uss mahan nagri ki suraksha dene ke liye ek mahan surveer youdha “bali” ko harana hoga jo ki bohut kathin hai kichki betalam ko iss bare main bhi satark karta hai.

Lekin amar hone ka lobh betalam ko kuch sochne nahi deta hai aur voh aapni puri chal aur bal se darpan desh par aakraman karke bali ko maarke us nagri ko aapne adhin main kar leta hai, 

Ab is mahan nagri ka kya hoga? Kya Bali apni mirutyu ko harakar lautega aur betaalam ko maarke aapne nagri ko us kroor raja se mukti dilayega? Aur ye sab kaise hoga yehi is kahani “bali – darpan desh ka rakshak ” main bataya gaya hai. 

My Take / मेरे विचार : 

Yeh pustak Bali Darpan Desh Ka Rakshak lekhak Akhil Kumar Meher ka pehala upanyaas hai. Jisse padh kar mujhe meri bachapan ki baate yaad aa gayi jo ki meri dadi mujhe sunaiya karti thi. 

Iss kahani ke mukhaiya kirdar Bali jo bahot hi saktishaali hain unke batein padkar, mun me ek alag sa Josh arpan ho sa gaya. Jis ke karan yeh kahani padhne me mazza aagaya. 

Sab se mazedar hissa koi bhi kahani me ye hota hai, jab ek shoorveer yodha kisi shoorveer raja ko hara ke jeet jaata hain, yehi hi anubhooti hume lekhak ne isse khanani se karaya hai jisse padh kar aanand sa aa gaya. 

Ye kahani aapko purani yadoon ke seher kara degi jo kahani aapne kahi aur nahi padhi hogi. Yah kahani ek hi samay mein bahut hi anokhee aur dilachasp hai. 

Sampoorn yeh kahani aapko shoorveer yodha aur aapne andar ke Josh ko jagaiye rakhegi. Toh yaha click kariye aur ye mahaakaavy kahani padhiye jo likhi gayi hai Akhil Kumar Meher ji duvara Bali Darpan Desh Ka Rakshak pustak mein.

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.