Kaljayi Mritunjay by Sandhya Bhatt

Synopsis/Saar

सज्जनो कि प्रवृत्ति स्वभावतः दूसरो के हित के लिए है।
सज्जन लोग ही न्याय के आधार हैं।
गुणों के कारण हि मनुष्य सब जगह पहुँच सकता है।

Sajjano ki pravrtti svabhaavatah doosaro ke hit ke liye hai. 
Sajjan log hee nyaay ke aadhaar hain. 
Gunon ke kaaran hi Manushy sab jagah pahunch sakata hai. 

The Story/Kahani

Yah kitaab Kaljayi Mritunjay lekhikaji Sandhya Bhatt ke dwaara likha gaya hai. Iss kitaab mein lekhikaji humhe Sindhu ghaati sabhyata k vinaash k baad ka samay jab kuch anay sabhyataiye bhi thi jinme pyraya yudh hua karta tha iss baare mein likha hai. Iss kahani ke madhyam se lekhikaji ne uss kaal ki manodhasha avam samajik, raajneetik vaataavaran ko ek kahani ke roop me darshaane ka praayas kiya hai.

Yeh kahani me do raajay hai ek aaryavat aur dusra rajay markat raajay hai. Aaryavat par mahatma Jagan nath ka raj tha tatha markat Pradesh par raaja Aditya ka raj tha. Iss kahani me ya bataiya gaya hai ki kis prakar raja Aditya aaryavat ke dhokha se aakraman karke raha Jagan nath ka vath karte hain.parantu uske baad kis prakar raja Jagan nath ka parivaar apne gurujanu vah mitron ki madat se raha. Aditya par aakraman karte hain. 

Iske baad kya raaja Jagan nath ka parivaar apne peeta ke vath ka badla kaise lega? Aur kya voh vijayi ho paayega?

My Take/Mere Vichaar

Ye kahani Kaljayi Mritunjay ki lekhika Sandhya Bhatt ji ke dwaara bahot hi rochak dhaang se likha gaya hai, tatha iss kitaab ki kahani ko pure roop se jod kar rakhti hain. Iss kahani ke dwaara hum main kayi mahatvapoorn cheejen batayi hain. 

Lekhikaji Sandhya Bhatt ke dwaara ya kahani iss dhang se dharshaya hai ki me khud padte samay mehsoos kar pa rahi thi. Padte samay me puri tarah se antarmukht ho gayi joki shuruvat se lekar aant tak mujhe ye kahani se judi rehi. Sab paatron ko bahot hi sundar tareke se prastut kiya gaya hai.

Do rajayo ka aapas me yudh ke baad kaise Miritunjay dwaara apne peeta ke vadh ka badla liya gaya uski kahani iss keetab me dharshaiya vistaar se kiya gaya hai. 

Ya kahani me jab Shiv ji ki shaktiyon ki hone ka ehsaas karati hai, uss bhaag main mujhe laga jaise yah meree aatma ko chhoo gayi hai. Ye kahani ke paatron se ya kahani bahot hi sundar bani hai aur Lekhikaji ne bohut hi mehennat se likha hai jo muje anth me dekhai diya. Aur me ye kitaab Kaljayi Mritunjay har ek jaan ko padne ki protsaahit karungi. 

Overall it's a perfect book that will not only keep you interested in reading till the end but also will give you a reason to read more books of Author Sandhya Bhatt. So click here and read the story of war and revenge with author Sandhya Bhatt in the book Kaljayi Mritunjay.

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.