Beeti Yaadein by Vikrant Roy

The Blurb:

Beetein dino ki yaadein kise pareshan nahi karati. Har insaan inase joojhata rahata hai. Agar ye yaadein bechain karane wali ho to diqqat badh jaati hai. Aisi hi haalat hai meri. Meri zindagi mein ek aisa din aaya tha jise main bhool kar bhi yaad nahin karana chahati magar der saber main use yaad karane par majboor ho jaati hoon. 

Kya hua tha iss din mere saath?
Aur iski yaadein kyon mujhe pareshaan karati hain?
Jaan ne ke liye aaj hi padhein, “Beeti Yadein” 

The Story: 

Iss kahani ke lekhak Vikrant Roy hain. Kahani Kavita naam ki ek aurat ki hai our vo ise apni jubani suna rahi hai. Kahani ki shuruaat hoti hai uski bechaini se. Vo raat ko bistar par padi karvate badal rahi hai aur us din ko yaad kar rahi hai jise vo bhool kar bhi yaad nahi karna chaahti. Iss din ki baatein sunaane se pahele vo apne baare mein batati hai. Vo batati hai ki vo patiala se hai aur shadishuda hai. Vo ye bhi batati hai ki vo apni jindagi mein khush hai. Uska apne pati, Mahesh ke saath rista achcha hai. Uski jindagi mein koyi pareshani nahi hai. Usko bas ek hi baat pareshan karti hai aksar. Aur ye baat us din se judi hai jab vo gaanv mein gayi thi apni NGO ke kaam se. kahani ki asli shuruvaat yahi se hoti hai.

Gaanv mein uske saath uski sahkarmi bhi hoti hai. vo dono gaanv ki aurton ko shiksha ke faaydon ke bare mein jaankari dete hain. sham ko jab Kavita apne ghar ke liye nikalti hai to raste mein ek sunsaan sadak par uski car kharab ho jaati hai. vo ghabra jaati hai khud ko sunsaan sadak par akela pa kar. bahut der tak vo dari sahmi car mein baithi rahti hai. Jab andhera chhane lagta hai to ek dehati yuvak aata hai vaha cycle par. vo us se madad maangti hai. madad ke liye to vo raaji ho jaata hai magar badle mein aisi shart rakh deta hai jise manana kisi aurat ke liye assaan nahi hota. iske baad puri kahani isi baat ke aas paas ghumti hai ki kavita apni car theek karva kar kaise us sunsaan sadak se niklegi. Aur iske liye use kya kimat chukani hogi?

kahani bahut hi kaamuk tareeke se likhi hui hai jo apko kavita ki tarah bechain kar degi. Aap khud ko uske saath sunsaan sadak par phansa mahsus karenge. 

My take : 

Vikrant Roy ki Beeti Yaadein abhi kuchh din pahle hi parkashit hui hai. Jab maine is pustak ko padhana shuru kiya to maine kabhi nahi socha tha ki yah kitab itani aakarshak aur rachanaatmak hogi. Main iss kahani mein kho si gayi thi aur lekhak ne jis tarah se kitaab likhi hai, vah bahut hi shaandaar hai. Isse padhte hue bahut se saval uthte hai man mein , jinke javab ye book padhne ke baad hi aap mahsus kar paayenge.

Ye kahani bahut hi saral bhasha me likhi gayi hai. Jisse kahani ki bhavnaye aur bhi ubhar kar aati hain. 

Ye kahani sambhog ke upar hai jisme ek havshi ladka ek aurat se sambhog karna chahata hai, aur usse saudha krta hai, jisse padh ke apko bhi maza aajayega. Toh kya ye sambhog ho paata hain ki nahi? Agar ha toh Kaise? 

Sampoorn, Ye vaakai mein ek dilachasp story hai. Aur agar aap aisi kahani padhne me dilachaspi rakhte hai toh aapko yeh book jarur padhni chahiye. Toh click kariye yaha aur abhi padhiye ye pustak Beeti Yaadein likhit Vikrant Roy dwara.

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.