Sainik Ki Kalam Se by Flt. Lt. Subodh Dixit

The Blurb :

यह कविताये सेना के तीनों अंगों के सैनिको के अन्तःभावो से प्रेरित है। अधिकांश कविताएं वीर रस को आधार बनाकर व्यक्त की गयी हैं। एक सैनिक का जीवन किन-किन भावों से प्रेरित होता रहता है, उसे मैंने अपने सीमित ज्ञान के माध्यम से लिखने का प्रयास किया है। मैं अपनी त्राुटियों के लिए क्षमाप्रार्थी हूँ।

My Take:

Sainik Ki Kalam Se, is pustak mein 110 kavitaon ka sangrah hai jo kavi Flt. Lt. Subodh Dixit ne in kavitaon ko ek bhaavuk tareke se varnan kiya hai. 

Kya aapne kabhi socha hai ki sainik kya mehsoos karate hain? Vah kya sochate hai? vah kaunsi sithi se gujaratein hain? unke parivaar aur dost kya sochate aur mehsoos karate hain? unke kaam ke liye unki bahaduri? 

Mujhe yah pustak bahot pasand aayi kyu ki pratek kavita ek dusre  se alag hai aur isne mujhe bhavuk kar diya. Iss pustak ki sabse achi baat yah bhi hai ki, isme kahi  sainikon ki chote parichay hain jo ki prerak hai aur anth mein kahi aur unke photo, naam aur padh ke sath. 

Overall, yah ek preranadayak, bhavanaon aur sundar kavitaon se bhari hui aur avashya padhne ki book hai. Toh yaha click kariye aur abhi padhiye Sainik Ki Kalam Se likhit kavi Flt. Lt. Subodh Dixit dwara.

Comments

Popular posts from this blog

Author's Interview with Shivangi Sharma

Author's Interview by Kamal Niranjan.